12 Rashiyan

Har rashi ka swabhav, swami graha, nakshatra aur lucky cheezein — Vedic jyotish ke anusaar.

Tattva ke hisaab se rashiyan

Agni (Fire)

josh, himmat aur pehal

Mesh, Simha, Dhanu

Prithvi (Earth)

vyavaharikta, thehraav aur mehnat

Vrishabh, Kanya, Makar

Vayu (Air)

vichar, baatcheet aur samajik jud-aav

Mithun, Tula, Kumbh

Jal (Water)

bhavna, samvedansheelta aur antarman

Kark, Vrischik, Meen

Apni Chandra rashi nahi pata? Moon Sign tool ya free kundli se jaanein.

Aksar poochhe jaane wale sawaal

Rashi kya hoti hai?

Rashichakra (360 ansh) ko 30-30 ansh ke 12 hisson me baanta gaya hai — inhe rashi kehte hain. Janm ke samay Chandra jis rashi me hota hai, Vedic jyotish me wahi aapki rashi (Chandra rashi) maani jaati hai.

Sun sign aur Vedic rashi me kya farak hai?

Western astrology me janm taareekh se Surya ki rashi (sun sign) li jaati hai. Vedic jyotish sidereal rashichakra aur Chandra rashi ka upyog karta hai, isliye dono alag ho sakti hain.

Apni rashi kaise jaanein?

Janm tithi, samay aur sthan daal kar free Moon Sign tool ya free kundli se apni Chandra rashi turant jaan sakte hain.